anonymous
follow-btn
Hello friends,

Aj ki meri recipe hai ...

Suji ka halwa in barfi style

I know ye to sabko aata hai banana but phir bhi Maine socha ki share kar du... Sorry for that...
Ingredients:-

👉 Suji 1 katori

👉 Sugar 1 katori

👉 Pani 3 katori

👉 Badam 1 tablespoon chopped

👉 Kaju 1 tablespoon chopped

👉Kishmish 1/2 tablespoon

👉 Grated coconut 1 tablespoon

👉 Ghee
Recipe:-

Sabse pehle kadhai gram karke suji ko dry roast kar lenge aur side me take denge. Abhi kadhai me pani boil karenge aur boil ho jaye tab usme sugar add kar denge. Jab sugar dissolve ho jaye tab usme roast ki hui suji dalenge aur ache se mix karenge taki koi lumps Na reh jaye. Sath me isme one tablespoon ghee aur chopped badam kaju kishmish aur coconut dalenge aur mix karenge. Jab suji cook ho jaye to flame off kar denge. Ab ek thali ko ghee se grease karenge aur usme halwa nikalenge aur surface ko spoon se plane kar denge. Jab set ho jaye to manchahe shape me cut kar denge aur serve karenge...
Thank you
Like

1

Like

Comment

0

Comments

Share

0

Shares

settings
lifestage
gallery
send