Hi all... aaj mai Aap sbse ek apni life ka sbse bdi taklef share kr rhi hu.. mai Himachal Pradesh k solan ki Rehne wali hu. mere do bete hai.. pehle Avish5yrs ka h.. or dusra Reeyansh 3 month. mera pehle beta Avish abnormal h.. he is unable to walk sit or speak.. so wo puri trh dusro pr dpend Hai.. hmne jaha Tk hmari hasiyat thi uska ilaj krwaya.. but vo Theek Nhi hua..pgi chd mai uske sare test hue report mai Cerebal palsy ki problem btaya. or doctor ne Kaha iska koi solution Nhi hai .ye bcha aisa hi rehega.only physiotherapy. batayi.. aaj 5 saal ho gye.. but koi improvement Nhi.. balki bahut weak ho gya hai.. jb vo rone lgta Hai to rota hi rehta h puri raat.. jb vo hsta Hai to hsta rehta Hai.. or jb vo chilata h to whi krta Hai.. even mere 2nd pregency tim m bhi sari raat mujhe usko leke goad m uthana pdta tha.. usko pyar se sehlana pdta tha.. mere Ilana koi Aur uska dhyan Nhi rkhta.. mere mummy papa k siwa.. even hubby bhi nhi. wo to use uske jyada chilane pr use marte h. or rone pr bhi.. mai bahut baar keh chuki hu ki use kuch bhi Pta Nhi hai. vo jo hsta h rota h or chilata h. use Nhi Pta mai Kyu ye sb kr rha hu. but vo Nhi mante.or in-laws to bilkul bhi nhi.. ab chotu baby aa gya hai to thoda sa time or love share ho gya hai.. mai bahut depressed hu.. Kya kru.. Avish hme dekhkar rone lgta Hai.. Agr kbhi mai na ho to uska dhyan kon rekhega..bus god se yhi blessing mangti hu ki agr kbhi mai na rhi to Avish ka dhyan uska chotu bhai to rkhe... need ur blessings..
11 Jun 2017
2
Likes
31
Comments
0
Shares
Palak Thakur
Thnks all moms
Like
Reply
11 Jun 2017
Nisha
<font color ="#3b5998"><b> @5aeac68b4254fb0eaec98c50 </b></font> Avish bhoth pyara hai. Aug aap ek strong Mummy ho, bhagwan aapko aur strong banaye. Aap ka Avish aab se mere prayers may hai. May God bless him with good health. Stay blessed.
Like
Reply
11 Jun 2017
Neha Gupta
I know palak bhout strong mom....hai....avish apko ek din itna pyar or Badi khushi Sega palak.....dekhna AAP...
Like
Reply
11 Jun 2017
Neha Sharma
hello palak, apka baby bahut pyara hai. aapne ye Suna hoga ki Bhagwan jinse Sabse zyada pyar karte h, unhe hi aisi situation mai daalte h Kyuki Bhagwan Ko Unpe Bharosa hota h ki wo mushkil se mushkil situation Ko ache se manage kar lenge. aur apki post read krke ye hum sabko pata chala hai ki aapne Abhi tak avish ka kitne ache se Dhyan rakha hai. kabhi b har mat Maan na, chahe koi sath de ya na de, ma mai itni taakat Hoti h ki Apne bache k liye wo kuch b kar sakti h use kisi ki zarurat nai Hoti. avish Ko achi education dene ki koshish karna, special bache bahut talented hote h. aap avish Ko observe karo aur uska talent search karo. apke husband Ko b samjhate raho, kabhi na kabhi to unhe samaj ayegi aur avish unka hi bacha h..unhe bolo ki jis din wo Apne parents Ko proud feel karwaega tab apko ye Bura na Lage ki avish k bachpan mai uske Papa ne use samajne ki koshish nai ki. wo bhi samaj Jaege. baki kisi se zyada umid mat rakhna, jaise jaise apka chota baby bada hoga, avish Ko best frn bhi mil jaega. God bless u Mumma..u are strong. Love to avish 😘
Like
Reply
11 Jun 2017
Palak Thakur
Thnks a lot to all moms.. bahut acha n halka feel kr rhi hu aaj..5 yrs m kbhi bhi aisa feel nhi hua. Aap sb bhi mumma ho.. socho mere dil pr Kya Gujrti hogi.. mujhe bhi koi mumma bolta.ek maa Tb tak adhuri h jb Tk use uska bcha maa kehkar na pukare..
Palak Thakur
Like
Reply
11 Jun 2017