Hi everyone... Me bohut zyaada upset hu... Meri shaadi ko 5 saal hone ko aaye abhi me pregnant hu 8 th month chal rahi he.. mujhe samajh me nai aa raha ki meri galti kya he?? Me ladki banke paida hui ye?? ya Mene shaadi ki ye?? Mera arrange marriage he.. par jab se shaadi hui he tab se lekar aaj tak mujhe ghar pe koi pasand nai karta.. yahan tak ki mere husband bhi mere se door bhagane ke bahane dhoondte rehte he... Mujhe laga tha ki me pregnant ho jaungi tho shayad kuch badalega lekin me bilkul galat thi aaj bhi meri mil mujhe hamesha kosti he aur bolti he ki Jo baccha mere andar he wo uske bête jaise hona chahiye Na ki meri tarah aur mere husband hafte me 3 to 4 din out of station rehte he kaam se aur jab wapas aate he tho mujhe poochte tak nai me unse bohut pyaar karti hu.. sochti hu jab wo ghar aayenge tho unse baithke thodi der baat karungi.. unke saath thoda time spend karungi par wo mere se baat hi nai karte sirf apne phone pe busy rehte he jab me bolti hu thodi der mere saath baithne tho gussa karte he .. me kya karu?? Kahan jau??
Anonymous
25 Oct 2017
0
Interested
17
Answers
0
Shares
Anonymous
Thank you everyone for your support n love now feeling like someone is der for me to understand my situation.. love you ladies...
Like
Reply
26 Oct 2017
Sumira Bhatia
Meri advise aapko yehi hogi ke pehle abhi aap sirf apne baby pee focus karo . . Apka 8th month Hai . .aap achi books parho . . Koi funny movies dekho . . Abhi chalne do jaisa chal raha Hai . . Mushkil hoga . . Par please acha socho . . Meditate karo . . !! Aapko bahut bahut pyaar 💞💞 jab baby ho jayega fir dekhenge ki husband kaise behave karte Hai and in laws . . Abhi ke liye sirf postive thoughts 💞💞
Like
Reply
26 Oct 2017
Sheeba Vijesh
hi dear, aap please udaas na hona, hum samajh sakte hai ki aapko apne husband ki kitni zaroorat hai... lekin agar woh aapko time nahi dete, toh aap unke peeche mat bhagiye, jitna aap peeche padogi, utna woh irritated honge... aap apna waqt khushi khushi bitaane ki koshish karo, jaise kuch padhna(baby care ke barein mein bhi jaankari hasil kar sakte ho), kuch crafts ya arts karna, apna room simple sa decorate karna, wagereh... apne baby se baat karo... aur humse toh bahut baat kar sakte ho... hugs and love dear ..
Like
Reply
26 Oct 2017
Anonymous
Bed rest pe hu Dr ne travel karne se mana kiya he is liye koi option nai <u>he</u>
Like
Reply
26 Oct 2017
sonam patel
Hey anon... A big hug... I know ye situation aapko kaafi disturb kar rha hoga... But jaisa aapne kaha aapka baby hi aapka sahara hai...Toh aap bas uske liye inn sab chizon se distract hone ki kosis karo... Baby k aane k baad aap baby me busy ho jaoge. Aur kya aap apne parents k ghar thode din jaa skte ho? Change hoga environment toh aap thoda acha feel karoge... Apne aap ko shant kar ke ek baar hubby ko bolo ki aapko unki jarurat hai. <br>
I just wish aapke life me sab acha ho jae.
Anonymous
Like
Reply
26 Oct 2017