question
Hi mommy., main bohot tension me hu meri beti school me set nahi ho pa rahi hai..; maine apni beti ka school me admission karwaya tha 8 months pahle woh shuru me ache se gayi 10 days fir woh bohot rone lagi usko man nahi lagta hai school aur usko nahi jana hai humne jabardasti usko 10 days bheja par woh kafi chidchidi si ho gai aur night me bhi bar bar uthkar roti thi humlog dar gaye aur usko ghar me hi rakha one month then again humne usko school bheja tab woh 10 days royi aur fir 15 days aaram se jane lagi thi aur dubara bolne lagi usko man nahi lagta hai aur fir bohot jyada roti thi bhejne par tab humne decide kiya usko 2-3 months ke baad bhejenge jab woh 3 years ki ho jayegi ab woh 3.5 years ki ho gayi hai aur humne usko school bheja dubara se par fir woh wahi kam kar rahi hai bohot roti hai school me continues 20-25m tak.. kuch samajh nahi ata hai kya karu woh kab school me set hogi.. humne socha hai ab usko rulakar hi bheju kyiki ghar me rakhne se bhi koi fark nahi pad raha hai.. woh wahi kam bar bar kar rahj hai..woh bat karne me bohot hi tej hai saree bat batati hai. Maine pucha school me koi danta ya marta hai ya koi prob hai tou woh kuch nahi bolti hai bas uska man nahi lagta hai.. please help me koi aise situation se gujra hai..mujhe kya karna chahiye.. kaise uska man lagega ..abhi woh Nursury me hai
anonymous
follow-btn
Interested

0

Interested

Answer

8

Answers

Share

0

Shares

settings
Anonymous

shristhy thapa

Chlo a6i baat hai. Aap na uske school frnd se Saturday nd Sunday meet krado jisse ki use Smjh me Aa Jaaye ki sb uske frnd haii. Frnd K mumma se aap v baat kr Lo aur usse smjao ki frnd; K mumma hmara frnd aur ye Apka frnd <u>haii</u>. Aur ha use Koi Park ya aisi Koi place Jaha kids; hai waha ley Jao aur smja do na Kis Tarah se khelna hai ya phir frnd ship krni haii.

Like

Reply

Anonymous

Anonymous

Thanks everyone..; maine uske teacher se aur principal se bhi bat kiya kai bar unlogo ne bola woh silent rahti hai aur kisi se bat nahj karti hai woh try karte hai woh dusre logo se friendship kar le but woh nahi karti hai..main puri koshish kar rahi hu is bar ki stop na karu use har haal me continues bhejti rahu ..main usko daily icecream n choclates deti hu ye bolkar ki tum school jati ho ye isliye milta hai even uske sath jyada play karti hu aur color karti hu n story bhi sunati hu.. aur weekend me bhi bahar ghumakar lati hu.. fir bhi woh rokar hi school jati hai but aane ke baad puri khush rahti hai.. ab main yahi koshish karungi use har haal me bheju aur stop na karu.. dekhti hu ab kab woh set hoti hai.. main update karungi.. thank you so much for suggestions.. <br>

Like

Reply

Anonymous

shristhy thapa

Hlw dear, mere Sath v Ku6 aise hi huwa tha. Meri beti v school jaana nhi chahti thi.school jaane K naam se Rone lg jaati. School K uniform dkhne se Rona chalu . Daily K Ek hi routine chalta tha. Pure 2. 5 month royi hai. Wo Roti bahot thi pr phir v Maine school continues veja. Maam se baat kiya ki usse Thora samjaye. Dusre child se pr friendship karwaye jise ki uska MN lag Jaaye. Main bahot paresan ho gyi thi ki Maine galti nhi kr dii school vej kr. Pr Avi wo school khud se taiyar ho jaati hai. Bolti hai jldi ready kr do nhii hm late ho jayenge. Mumma. Mere friends school Aa gye honge.

Like

Reply

Anonymous

Roopashree Siddireddy

Dear.. bacche jaldi utkar.. ready hokar jaane me laziness batathe hai. Aut ghar ka freedom waha school me nahi rehtha. Upar se separation anxiety. Aapko pehle strong hona hai. Meri beti bhi kabhi kabhi school jaane ke liye rothi hai. First 2 months..bahut hi mushkil laga bhi. Giveup mat karo. School is important part of life. I dont believe completely in home schooling. Bade hokar wo akele duniya face kar sake, is liye school bhejna chahiye. Agar baby ka mann nahi hai..tho 1 din school; na bhejo tho teek hai. Par 1 or 2 months.. is not good. Aap baby ko aur zyada confusion me daal rahe ho.; Kabhi bhejna and kabhi nahi bhejna, bacchon ke mind me confusion and disturbance hotha hai. Please stick to the school timing. Agar early utna problem hai tho.; 2nd session me bhejo. Bacche rothe hai.. rone do. Koi baat nahi. Jab bhi wo school jaayegi..tab aap extra uske saath khelo, ye bolke ki school jane ka reward hai. Aur kuch toffees ya candies de sakthe ho. But please send your kid to school.

Like

Reply

Anonymous

asha chaudhry

Agar beti nahin batati toh uske koi friend ya teacher se zaroor poocho.

Like

Reply

Show more comments

lifestage
gallery
send