Aap phal aur sabziyon se shuru karo... Daal se bhi kar skte ho... Daal ko ache se mash kar k do...Phal jaise ki kele ko mash kar ke do... Seb ko ubaal ke... Aur sabziyon ka soup de skte ho... Sabzi jaise ki lauki, aloo ubaal k de skte ho... Abi shuruat me bas ek meal dena hai...4-5 spoons b kaafi hain... Dheere dheere dose badhana hoga... Aur koi b nayi chij aap lagatar 3 dino tak dena jisse bachche ko bachaane ki adat hogi aur apko ye bhi pta chal paega ki us khaane se koi allergy toh nahi hai... Uske baad aap khichdi, daliya, chawal daal, sooji kheer, aate ka halwa jaisi chizen de skte ho..Ek sala tak chini aur namak nahi dena hai. mai link share kar rahi hoon aap wo dekho... Idea milega. <span style="color:#3B5998;"><b><a href="http://app.babychakra.com/article/4365">भारत के शीर्ष दस पूरक आहार</a></b></span>
sonam patel
Like
Reply
23 Jul 2019