Mera baby 1.30 month ka hai. Wo ab 5 6 dino se daily shyam ke 4 baje ke baad aur rat ke 10 baje ke bich mein jor jor se achank se rota hai jaise ki uska kuch pain ho raha ho .Aur uper pith ke bal pe rakho to thoda shant ho jata hai lekin firse rone lagta hai aur khub rokar baad mein so jata hai. Aaise kabhi 15 min kabhi adha ghanta chalta hai. Kya problem ho sakta hai ?? Mein daily dakar bhi nikalti hu jyadatar time. Koi kehta hai uska pet pain hoga ha joint pain hoga. To koi kehta hai bacche aise nind puri nahi hoti hai to karte hai lekin ab ye 5 6 dino se chal raha hai.
Bharati Patil
18 Dec 2020
0
Interested
8
Answers
0
Shares
Dr.Priyanka Patel
Ye medicine ka dose kum karne ki zarurat hai mujhe abhi ke checkup ki detailed reports bhejiye
Like
Reply
22 Jan 2021
Bharati Patil
Ye medicine diya hai 3.5 ml . ye abdominal distension kya hota hai ? Aisa kuch ho sakta hai kya ? Mere baby ko hydronephrosis found hua hai to kya uska is problem se koi relation ho sakta hai kya ??
Like
Reply
22 Dec 2020
Bharati Patil
2 days ke course ke baad aaj wo achanak medicine dene ke baad jor se rone laga aur uski dono ankhe pani se bhari aur usne thodi liquid jaisi potti ki . kya problem hoga ??
Like
Reply
22 Dec 2020
Bharati Patil
Hi mein doctor ke pass gayi thi unhone calicaid ke 5 drops daily 3 times diye hai or gas ke liye ek aur medicine diya hai wo to 3.5 ml daily 3 times diya hai to kya ye 3.5 ml jyada to nahi ho ga ?? Aur baby kab tak thik hoga ?? Kitane dino mein ye medicines ka asar dikta hai ?? Mera baby to 1 day ke course ke baad bhi abhi bhi ro raha hai 😪
Dr.Priyanka Patel
Like
Reply
22 Jan 2021