Mera bacha 4+ ka hai so uski mobile ki addiction ko kese hatau . Without seeing mobile or tv he will not eat anything. It's a big problem for me for his growth .
Simran Kaur
24 Jul 2019
0
Interested
1
Answer
0
Shares
sonam patel
Simran, sbse important hai ki aap khud bache k saamne phone use mat kro. Aapko strict hona hoga thoda. Bachche k saamne aaplog baith k khao aur usko bhi baithao. Agar wo nhi khata hai toh rehne do. Bhukh lagegi toh khud khayega. Aap usko puzzle games, colouring, blocks aur bhi saare productive chijo me busy rakho. Aap khud uske saath involve ho in saari chijo me. Usko bahar le jae roj garden me. Aap apna jitna samay uske saath bitao utha acha hai. Usko books do. Stories sunaao... Aur agar school jata hai baby toh acha hai. Doosre bacho k sath interact karega.
sonam patel
Like
Reply
24 Jul 2019