Mere baby kho 7 months usae kya kilana Kuch fruits dae sakte hua
ambika
16 Apr 2019
0
Interested
2
Answers
0
Shares
sonam patel
Aap phal aur sabziyon se shuru karo... Daal se bhi kar skte ho... Daal ko ache se mash kar k do...Phal jaise ki kele ko mash kar ke do... Seb ko ubaal ke... Aur sabziyon ka soup de skte ho... Sabzi jaise ki lauki, aloo ubaal k de skte ho... Abi shuruat me bas ek meal dena hai...4-5 spoons b kaafi hain... Dheere dheere dose badhana hoga... Aur koi b nayi chij aap lagatar 3 dino tak dena jisse bachche ko bachaane ki adat hogi aur apko ye bhi pta chal paega ki us khaane se koi allergy toh nahi hai... Uske baad aap khichdi, daliya, chawal daal, sooji kheer, aate ka halwa jaisi chizen de skte ho.. mai link share kar rahi hoon aap wo dekho... Idea milega. <span style="color:#3B5998;"><b><a href="http://app.babychakra.com/article/4365">भारत के शीर्ष दस पूरक आहार</a></b></span>
Like
Reply
16 Apr 2019
sonam patel
Han, aap usko kela de skte ho mash kar ke, paka hua papita de skte ho, chikoo de skte ho. Seb ka chilka chil k ubal ke de skte ho... Anaar ka juice de skte ho.
sonam patel
Like
Reply
16 Apr 2019