6 month ke baad kya kya bache ko khane dena chahiye
jugnu singh
27 May 2020
0
Interested
5
Answers
0
Shares
sonam patel
6 month poore hone k baad bache ko khana shuru karen. Aap phal aur sabziyon se shuru karo... Daal se bhi kar skte ho... Daal ko ache se mash kar k do...Phal jaise ki kele ko mash kar ke do... Seb ko ubaal ke... Aur sabziyon ka soup de skte ho... Sabzi jaise ki lauki, aloo ubaal k de skte ho... Abi shuruat me bas ek meal dena hai...4-5 spoons b kaafi hain... Dheere dheere dose badhana hoga... Aur koi b nayi chij aap lagatar 3 dino tak dena jisse bachche ko bachaane ki adat hogi aur apko ye bhi pta chal paega ki us khaane se koi allergy toh nahi hai... Uske baad aap khichdi, daliya, chawal daal, sooji kheer, aate ka halwa jaisi chizen de skte ho.. ek sal tak namak, chini, cow milk, honey na den.
Babychakra pe Personalised diet plan bhi aap le skte hain... Ye link dekhiye. http://babyc.in/l/q98E
Like
Reply
27 May 2020
Madhavi Cholera
Baby ko animal milk one year tak nay dena chahiye..din me 1 baar aap ghar ka bana healthy food dijiye jese ki daal chaval ,khichdi, daliya vagera aur ek baar koi fruit dijiye..aur breastfeeding bhi continue rakhe..biscuits, waffers bilkul mat dijiye ga .
sonam patel
Like
Reply
27 May 2020