anonymous
follow-btn
AYURVED AUR ITIHAS

Hello everyone!
Aj main ap sab ke sath ek bhut interesting topic ke bare mein baat karungi. AYURVED.
Waise toh hum sabhi ko pata hai Ayurved ka janam hamare bharat mein hua tha lekin iska use puri duniya mein ho rha hai aur ye bolna galat nahin ki India se zyada India ke bahar iski importance hai.
Hamare Bharat mein ab zyadatar log modern medicines ki taraf zyada attract ho rhe hain. Because Ayurved ko time chahiye kisi bhi problem ko khatam krne ke liye.

Aisa kyun hai? Ye main apko detail mein apne isi blog mein samjhaongi. Thoda wait kijiye.
Pehle main apko ye samjhati hu Ayurved kya hai aur iska Itihaas kya hai?
MEANING :-
Ayurved zindagi jine ki sikh hai. Ye hume zindagi ko kaise jina hai wo sikhati hai. (AYUR - LIFE , VEDA - SCIENCE.)

Hum sb apni-apni life mein khush hain lekin fir bhi shanti nahi hai. Is sb mein Ayurved hamari help krta hai. Ayurved mein Bola jata hai ki 'ap wo ho jo ap DIGEST kr skte ho.'

But wo nahi ' jo ap khate ho.'

Aisa isliye kyunki ap apna khana kisi bhi tarah ka kha sakte ho - Sattvic, Rajsic ya Tamsic lekin jo ap khane ke baad digest nahi kr paa rahe ho wo apko irritated banata hai, depressed kar deta hai. Toh agar khana shudh hoga tab hi apka mann shudh hoga.
Ayurved mein modern diet ki tarah calories par dhyan nahin diya jata hai. Isme Elements ka importance hota hai. Elements ko Three parts mein divide kiya gya hai - Vata, Pita and Kapha.
In ko Dosha bola jata hai. Agar apke Doshas unbalanced hain toh unko balance kr ke kisi bhi disease ko root se khatm kiya jata hai.
Ayurved mein modern science ko galat nahi bola jata but hamare ancient Ayurvedic scriptures se apko modern science ka base mil jata hai.
HISTORY OF AYURVEDA:-
Well Ayurved ki history bhut interesting hai. Ye art 5000 years se bhi zyada purani hai. Is art ko hamare rishi-muni use karte the.
Sabse pehle iska gyan Brahma ji ne Prajapati Daksh ko diya tha. Prajapati se ye gyan Ashwini Kumar ko mila. Ashwini kumar se Indra ko pass kiya gya. Fir Rishi Bhardwaj, Devodas Dhanvantari ko aur Rishi Kashyap ko ye gyan Indra se mila. Last mein ise in sabhi rishiyon ki help se aage aur logon ko mila.
Kya ap sab ko pata hai ki Dhanvantari ji Ayurved ke devta hain.
Ayurved hi sabse pehle is duniya mein aya tha.

Aur Ayurvedic aur Modern diet mein bhut difference hai. But iske bare mein detail mein next blog mein bataongi.
Ab jaise maine apko yahan bataya tha ki Ayurved mein disease ko sirf dabaya nahin jata hai balki uska root cause find karke us pr kaam kiya jata hai. Jis se wo bimari dubara hamari life mein na ho paye. Is wajah se hi Ise time lagta hai apna result dene mein. Jo log modern science ko jante hain unko ye pata hoga ki unki bimari ko kisi bhi halat mein root se khatam nahi kiya ja sakta jiski wajah se puri zindagi goliyan khaa kar jite hain. Fir bhi unka dard khatm nahi ho pata.
Purane time mein kisi aur medicines ko use nahin kiya jata tha lekin kuch log ne apne swarth mein modern medicines ko bana kr logon ko Ayurved se dur kar diya. Ab ye art logon se bhut dur ho chuki hai. Log ghabrate hain ise use karne mein. Iski importance ko samjh pana un sab ke liye bhut mushkil ho gya hai. Isliye hamare liye zaruri hai ye samjhna ki hamare ancestors ko isliye itni goliyan nahi khaani padti thi kyunki wo phool aur pattiyan khaa kar apni bimariyon se thik hote the. Lekin hamari body itne toxins se bhar gayi hai ki ab kuch bhi gentle hamari body ke liye useless hai. But just for once think kya hum abhi bhi use thik nahi kar sakte.
Sirf hamara lifestyle change karne se hume shanti mil sakti hai toh kyu hum uske piche bhaage jo hume sirf body ki shaanti deta hai lekin mann ki nahi. Think about it.


#bbcreatorsclub #healthylifestyle #naturenurture #dietmantra
Like

2

Likes

Comment

5

Comments

Share

0

Shares

settings
Anonymous

Niyati Lakhotia

Thank you... I feel hume apni sanskriti ko seriously lene ki zarurat hai.

Like

Reply

Anonymous

Durga salvi

Very helpful post dear ..

Like

Reply

Anonymous

Madhavi Cholera

Thank you so much for sharing :)

Like

Reply

Anonymous

Madhavi Cholera

Thank you so much for sharing :)

Like

Reply

Anonymous

Madhavi Cholera

Very helpful information dear.. aapse puri tarah sahemat hu me..

Like

Reply

lifestage
gallery
send