Ajj mere doctor ne mujhe kaha ke mera placenta anterior h or kuki mera pehla baby c section se hua h to ye risky h kya placenta anterior hona ek c section patient ke liye risky h kya normal delivery ho sakti h ya c section hua to kya bacche ko ya mujhe koi khatra hoga.
Pls btaye mai bhut worried hu, mera abhi 36weeks4days chal rha h
Hi, risky hona to nai chahiye kyuki main kuch ladies Ko dekh chuki hu jinka anterior placenta tha par normal delivery ho gyi. Par fir bhi har case alag hota hai to aap doctor se Salah zarur le. Yaha apni report upload kare, doctor dekh ke guide karenge aapko.
Like
Reply
23 Sep 2019
Kavita Sahany
Nahi koi risk nahi honi chahiye.. c section hoga ki normal apke doctor decide karenge.. puri report upload karen .hamare expert answer karenge
Dr.Priyanka Patel
Like
Reply
24 Sep 2019