anonymous
follow-btn
Hello mommies,

I am here to share my experience,my son will be turn 2 on this 31st March.

Its been around 2 yrs usko aaj tak bukhar ulti jhukham kuch bhi nahi hua,Uske paediatrician ne kaise care karni hai kya khilana hai kya nahi sab guide kiya jiski vajah se ek bar bhi doctor ke paas nahi jaana pada.Aaj vahi apke sath share karti hu taki aapko bhi and to be moms ko bhi help ho..

Pahle 4 months tk vo sirf bf pr tha,tab me regularly methi ki sabji khati thi,palak khati thi,moong ki daal khati thi,roj 2 glass dudh piti thi,khane ke baad ajwain khati thi,2 time snacks ke time pr fruits khati thi iski vajah se bachcho ko sab vitamin protein calcium milta hai.aur acidity nahi hoti..

Jab 4 months complete hue to uske doctor ne kaha ki baby ko daal ka pani,aur rice ka paani pila dijiye 2 time,fir 6th month usko daal ka pani,rice ka and agar aap nonveg khate he to mutton ka pani de sakte hai uskk bone ke liye but without namak.jaise hi 6th month ka hua semi solid chije dena shuru kiya jaise cerelac,daal,chawal,palak puree,beetroot puree,gajar puree vo sab usko khane ki adat pad gayi,daily 1 tbspn ghee me usko khane me deti thi ,and most importantly sabudana puree me usko every monday and friday deti thi hafte me do baar jisake ki usko teeth aate wkt jo loose motion ki problem hoti hai vo na ho..and ye sab uske child specialist doctor ne hi bataya hua hai,homemade cerelac bhi deti thi,uski recipee ye rahi -

1 cup rice,half cup moong daal,half cup sabudana ghee me bhunke grind karke powder banayiye roj subah aur sham 2-3tbspn aapn kabhi uski khichdi banake ya dudh me thoda chini daalke usko khila sakte hai ghee ke sath isase babys ka vajan bhi bahot jaldi badhta hai.

9th month tk hone tk usko teeth aagaye the tb dudh roti,daal roti with ghee khilana shuru kiya..dryfruits shuru kiya jisake ki usko mind sharp ho..birth se proper vitamin calcium milne ki vjh se vo 9th month me hi chalne laga,uske hair bhi kafi thick hai,usko fruits puree ya solid fruits,juices dudh biscuits sab de sakte hai after 9 months,jab 14 months ka hua tb tk almost teeth aa chuke the uske to sab chije vo apne se hi chabake khata hai,chahe vo jitna kha le usko din me 1ltr dudh bachcho ko dena hi hota hai taki uske bones strong ho.abhi 2 yrs ka he vo sab sabji roti chawal khata hai,sab bolta hai,bachcho ko body me immunity ke liye birth se hi vitamin calcium protein milna jaruri hai,first 3 months apko apke khane me ye sari chije leni hai taki babies ko bm ke dwara sab poshan mile aur baadme unke khane se.Trust me kbhi jyada bimar nhi honge.

Tip - give gripe water daily till 6th months,after that after every meal give ajwain water so that acidity problem na ho,

Roj subah uthate hi garam pani dijiye pine ke liye isase kabhi bhi potty hard nhi hogi aur roj time to time hi potty hogi.

Aapko agar age wise diet chart chahiye to u can msg me.

Apko aur kuch help chaiye ho ya kuch puchna ho aap comments me ya fir mujhe msg kr sakte hai yaha ya fir instagram pr - writer_komal
Like

0

Likes

Comment

0

Comments

Share

0

Shares

settings
lifestage
gallery
send