Hi mommies mera baby 1year 5 months ka hai..wo dinner Karke night ku sota hi 1 clock or 1.30 ku hai doodh pee ke.. phir se o 3 clock ku uth jata hai...doodh dene k bad hi sota hai. ..phir 4clck ku uth jata hai phir doodh mangta hai sometimes doodh peene k bad sojata hai sometimeS Nahi soo pata hai....full night aise hi karta hai...aisa kya karu mai k o raat mai puri neend le saake aur Mai bhi?
husna
31 Aug 2019
1
Interested
8
Answers
0
Shares
bhanu
Feed him properly at day time.<br>
And if he is demanding milk ,wish my son does the same because he is never hungry.<br>
I have to run after him
Like
Reply
01 Oct 2019
husna
bhavna ji...mai ne bhi yahi socha k uska gala sukh jata hoga tu mai jb bhi o uttha hai pain dedeti ho.. ..o pani peene k bad bhi nahi sota doodh hi mangata hai but zyda pareshan ho mai
Like
Reply
01 Sep 2019
husna
Thank u akanksha ji...but mai us se jaldi se dinner Karke 8.30tak Sula k try Kar chuki ho..8.30 ku soke o 10bj utjata hai.. phir 2bj ya 3 bj sota hai....jb tak mai feed mai deti tab tak rota hi theta hai.. kya karu mai?
Like
Reply
01 Sep 2019
Bhavna Anadkat
hunsa ...mera beta bhi aise hi krta tha ..par mene dhire dhire adat chhudvai ..me bhi itni pareshan ho rahi thi ...jab rat ko wo dusu pikar sota he fir wo bhukha to nahi hoga ..bas usko adat pad gai he ..ya fir ho sktA he ki uska gala sukh rah ho ..aap rat ko sone se pahle thik se feed kraye baad me jab jage use aap pani pilaye ...feed na de ..thoda time lagega bhulane me ..bachcha royega bhi ..par bhul jayega ..
Like
Reply
01 Sep 2019
Akanksha Bhuri
Husna, Sabse pehle aap baby ke sone ka time change karo. 1 bje bahut zyada late ho Jata hai 1 sal ke bachhe ke liye. Usko khana khila kar maximum 8:30 tak Sula do aap. Itni der tak jagne se bachha restless ho jayega aur fir neend bhi poori nai hogi. Night feeds band karne ke liye thoda time lagega, aapko dheere dheere karke band karna hoga, agar bachhe ka pet bhara hua hai, usne thik se khana khaya hai to aap dheere dheere karke band kar sakte ho. Apne husband ya kisi aur ki help lo rat Ko usko sulane ke liye. Vo aapko dekhega to doodh mangega. <br>
Uska sleep routine bhi set karna hoga aapko. Maine is baare mein ek post likhi thi kuch din pehle. Uski link neeche de rhi hu, aap chaho to padh sakte ho.<br>
http://app.babychakra.com/feedpost/124088?ref=Akf5fc&
bhanu
Like
Reply
01 Oct 2019