Hii mujhe b c-section delivery hui thi first two days baby ko cow milk dena pda third day mere breast bhut tight ho gye gathe jaise jisse cirenj se milk nikala bt normal nhi hua mother care center se milk niklwaya normal hue vaps tight ho gye fifth day maine pump mngwaya usse nikala dhire dhire sb normal ho gya ab breast soft b ho gye nipple b bn gyi phle bikul flat thi or baby acche se dudh pi pati h now become so happy. Iske bich mujhe bhut kuch sunna pda meri sas ka diya chmach ktori se bar bar dudh pila dete unhone bottle mnga li usse bar bar chupke se use dudh pilane lgi yh ise mar degi bhukhe rkh k yh to jnm leke hi dukh pa rhi h iske bad maine unhe acche se jvab diya mujhe jaise rkhna hoga me rkh lungi char din smbhal k roj roj sunane beth jate ho maine baby ko do din smbhala bhut mhnt ki bar bar feed krwane ki use bhook lgti to usene feed krna start kr diya. Mother milk se immunity power boost hota h baby best for baby. Me c-section delivery hone wali sbhi mothers se khna chti hu plz try hard feeding se baby or mom me strong bounding hoti h. Mom k emotion apne baby k liye bhut khas hote h so apne baby ko jha tk ho ske kisi other milk pe depend na hone de. I love my baby so much.