Hiii.... Hello everyone... Shuruaat karti hu apni pregnancy se. To meri pregnancy bahot hi utar chadav se guzri hai... Har ek Sonography main mere husband aut main sirf darte the bacche ko lekar uski growth ko lekar... Uske moments ko lekar.... Lekin sab normal aur thik hota tha.... Meri pregnancy normal thi... Jab main 38th week main aai tab muje doctor ne achanak C section karne k liye advise diya... Freinds main C section k liye jara bhi ready nhi thi... Mere liye normal delivery hi karna bahot important tha... Muje bhi baaki ladies k jaisa wo delivery ka dard mehsoos karna tha... Muje bhi apne bacche ko baaki maa k jaisa paida karna tha...But kehte hai na sab kuch apne hath main nhi hota... Kuch chizen upar waale par chod dena padta hai... Maine bhi wohi kiya.... Jab doctor ne muje C section karne k liye kaha... To uss din main bahot roi... Bahot dukh hua... Ki itna excersice karne ka kya fayda... But jo hota hai acche k liye hi hota hai... Doctors ki advice bhi sahi tha... Mere bacche ka water level kam ho raha tha... Muje apne bacche ko sahi salamat iss duniya main laana tha... N isiliye maine aur mere husband ne decide kiye k hum log C section karwayenge... N sach kahu mere friends ek baar apne baby apne hath aa gaya to ye C section Or normal delivery kuch maine nhi rakhti... Bas main aur mera baby ek dusre main khush the... Aur C section delivery kuch galat nhi hai.... Bahot hi accha option hai... So ladies agar possible ho to normal delivery k liye ready hona warna C section bhi Better hai.... Aaj main 2 saal 4mahine k bacche ki maa hoo... Wo bhi C section k sath... Aur muje koi difference nazar nhi aata normal delivery k ladies aur C section k ladies main.... So freinds jo dil kahe... Jo Doctors kahe aur jo Apne bacche k, liye sahi wohi option choose karna.... Good luck nate saal main jo mommies banne waale hai... N all the best . ..
#CsectionStory#Mydelivery #csectionstory#mydelivery#preganewscontest#bbccontest # #raisingabaan#mamaandabaan #bbcreatorsclub
02 Jan 2020
3
Likes
4
Comments
0
Shares
khushboo chouhan
Thank you humhare sath apni c section story share karne ke liye
Like (1)
Reply
03 Jan 2020
Madhavi Cholera
Awesome pic dear!! thanks for sharing your delievery story with us !!
Like
Reply
02 Jan 2020
preet sanghu
Mera b c section hua mne normal wali pain b feel ki last m C-section krna pdha baby bahr n aa rha tha head bda tha or nall b gle Mai fsi th
Like
Reply
02 Jan 2020
Durga salvi
Wow !!Bhut pyari pic hai dear..Thanks for sharing csec story...
khushboo chouhan
Like (1)
Reply
03 Jan 2020