anonymous
follow-btn
Kal meri beti badi hogi

Uske liye bi ek duniya saji hogi

Meri goad se samaj ke galiyaro tak

Usne bi ek ladai ladi hogi
Maine jitte pyar se use pala

Kya utna pyar vo kahin aur paegi

Ye baat bi vo tb jaanegi

Jb vo bi duniya me kisi ko laegi
Uski fikr me hi dube rehte hn din raat mere

Main hr pal uska sath chahti hu

Log kehte hn vo parai h chhor jaegi

Pr dil nhi maanta mera, main usko apna hi hissa maanti hu

Vo meri beti h meri hi rahegi

Waqt aane pr vo ye khud hi kahegi
Vo is duniya me apni ek jagah banaye

Khush rahe jahan bi jaaye

Sbki aankho ka tara ho

Jise jarurat ho uska vo sahara ho

Ek achi insaan bne vo

Mere dudh ka maan rakhe vo

Apne pita ka naam kre vo
Meri beti jb badi hogi

Mere jivan ki ek nayi kadi hogi

Main dekhungi khud ko usme

Aur ji lungi apni zindgi fir se
Tumhe boht kuch zindgi me karna h

Tumhe hmesha mera sath milega

Jo mukaam bi tum pana chahogi

Vo sapna mere mann me bi palega

Meri beti boht khush rehna tum

Apna har sukh duk mujse kehna tum

Aaj kal aur hamesha main hun pass tumhare

Kabhi khud ko mujse dur na smjhna tum

duniya Ki is dhoop me ye mera aanchal

Hmesha tumhare liye chhaya bnega

Koi aur ho na ho

mere dil Ka darwaza hmesha tumhare liye khula rahega
Bete par se maa ka haq nhi chheenti ye duniya

Fir kyu beti par se vo haq chhinta h

Kyu lgti h bahu bni beti pr rok tok

Jab mann uska maa se milne ko karta h
Meri beti tumhe do gharon ka ujiyara banna h

Dono aangan ko apni hasi se bhara rakhna h

Tum duniya ki baaton me na aana

Hmesha apni soch sahi bnana
Like

29

Likes

Comment

21

Comments

Share

0

Shares

settings
Anonymous

Tanuja

thnx sonia

Like

Reply

Anonymous

Sonia Sharma

Osm hrt touching lines...bt its nt lines its 101% true

Like

Reply

Anonymous

reshu singh

One of the best line "Bete par se maa ka haq nhi chheenti ye duniya Fir kyu beti par se vo haq chhinta h Kyu lgti h bahu bni beti pr rok tok Jab mann uska maa se milne ko karta h Meri beti tumhe do gharon ka ujiyara banna h Dono aangan ko apni hasi se bhara rakhna h Tum duniya ki baaton me na aana Hmesha apni soch sahi bnana"

Like

Reply

Anonymous

reshu singh

Very True Lines...

Like

Reply

Anonymous

Renuka Pillai

<b><span style="color:#3B5998;"> @637371add28b060015d99780 </span></b> <span style="color:#3B5998;"> @6373ee0625a4b30015e7a816 </span> <b><span style="color:#3B5998;"> @63761252b47da20015a819ee </span></b> <span style="color:#3B5998;"><b> @6376125574d6920015d3cbca </b></span>

Like

Reply

Show more comments

lifestage
gallery
send