Hello jugnu ji, abhi har 2 ghante pe bache pe feed karaye ache se aur dakar dilwaye. Bache ko mausam k hisab se kapde pehnaaye. Koi bhi bahar se aata hai toh pehle haath dhone ko kahe fir bache ko lene bole. Isse infection k chance kam rahenge. Saaf safai ka khas khayal rakhe. Aur jb baby sota hai maa ko bhi aaram karne den. Maa swasth rahegi toh baby ko ache se feed kara payegi aur abhi thoda rest ki bhi jaroorat hai. Bache ko ek mahine ho jaane den uske baad maalish shuru karen. Aur nabhi ache se thik ho jae toh aap gungune paani se roj nehla skte hain. Abhi bas bache ka body ek warm geele soft kapde se poch kar kapde change kr den. Mai article share kar rhi hoon aap padhe <span style="color:#3B5998;"><b><a href="http://app.babychakra.com/article/3717">आइये जाने कि अपने छोटे बच्चे की देखभाल और रख रखाव कैसे करें</a></b></span>
sonam patel
Like
Reply
25 Nov 2019