question
Mai apne baby ko diet me Kya de skti hun
anonymous
follow-btn
Interested

0

Interested

Answer

1

Answer

Share

0

Shares

settings
Anonymous

Akanksha Bhuri

6 months poore hone ke bad aap bachhe Ko solids start kar sakte hai. Shuruaat mein fruit purees jaise mashed banana, mashed mango wagerah dijiye. Sweet cheezein vo khayega kyuki breast milk bhi naturally sweet hota hai. Par Dhyan rakhe, uske khane mein ek saal tak namak ya cheeni mat Dale. Usko sab cheezo ke natural taste pata chalne de. Fruit puree ke Baad aap steamed vegetables de sakte hai, soups de sakte hai. Fir dheere dheere mashed daal par aaiye. Usko thoda patla karke daal dijiye, fir mashed rice, aur khichdi, thoda ghee dal kar de. Uske alawa, doodh mein roti bhiga kar ekdum soft karke vo de. Dheere dheere jab usko aadat ho jaye to aap mash karna slowly stop kar sakte hai. Par aap mashed food hi dijiye, ekdum pureed nai thoda bahut texture samajhne layak consistency Rehna chahiye Varna bachha sirf swallow karega, chabayega nai. Snacks mein finger foods dijiye, jaise potato wedges, ya steamed gajar, fried paneer. Sabkuch bite sized hona chahiye aur finger foods Apne saamne khilaiye taki uske gale mein na atke. Vo dheere dheere khud khana chahe to use khane de.. cheezo ka texture samajh mein aane se vo khana chahega. Aur finger foods dene se usse chabane ki aadat hogi. Slowly aur variety add kijiye jaise oats, daliya, stuffed parathe , cheela, idli dosa wagerah. Aapko samajh mein aa jayega ki bachhe Ko kya khana pasand hai aur kya nai. Uske bad usi hisab se use khana de. Par Dhyan rakhe shuruaat mein ek ek karke hi new cheezein de, ek sath 2-3 new cheezein introduce na kare, taki agar usse kisi cheez ki allergy ho to aap samajh paye ki kya khane se dikkat hui hai. Ek saal ke pehle nuts wagerah ya animal milk mat dijiyega, aur khane ke saath on demand feed bhi karate rahiye.

Like

Reply

lifestage
gallery
send