Meri edd cross hone ke baad sonography hui to usme baby ke left kidney mein thodi sujan dikhayi di . pehle ki koi bhi sonography mein aisa nahi tha. delivery baad fir 10 days baby ke sonography mein bhi firse hydronephrosis dikhayi dia lekin pehle se sirf thoda kam ho gaya tha. Mera triple marker report positive aya tha trisomy 21 ke liye. To kya ye kidney ka hydronephrosis ka down syndrome se koi coneection ho sakta hai kya ? Lekin 9 month ke end tak ke koi bhi sonography mein hydronephrosis show nahi hua tha . kya ye tension wali bat hai ? Age kya kru ?
Bharati Patil
30 Nov 2020
0
Interested
24
Answers
0
Shares
Dr.Priyanka Patel
I have checked
Like
Reply
22 Jan 2021
Bharati Patil
Hi mein 1 month ka augpen antibiotic course pura karke doctor ke pass firse jake ayi to iss bar dr. ne sonography ya x ray nahi karne ko kaha aur directly microscope wala option karna padega aise bataya. Jo pehle dr. Ne bola tha is bar bhi wahi kaha ki sunta(circumcision) karna padega aur wo microscope wala kya hota hai operation wo. 1 month ke baad kidney ka hydronephrosis kam ho gaya hai ya nahi ye nahi dekha unhone aisa kyu ??? Operation jaldi nahi karna chahte to tab tak 1 bactrim nam ka medicine continue karne ko kaha hai jo mein abhi daily 2.5 ml de rahi hu.
Like
Reply
07 Jan 2021
Bharati Patil
Maine observe kiya hai ki baby su su karne ke pehle rota hai khub aur diaper nikalane ke baad su su hone par wo shant ho jata hai. Sab bolte hai ye normal hai. To kya tension wali baat hai ?
Like
Reply
10 Dec 2020
Dr Supriya
Some dysmorphic feature are common in downs syndrome which doctors can appreciate but confirmation only by genetic test can be done
Like
Reply
08 Dec 2020
Bharati Patil
@Dr Supriya mahajan kya genetic test ke alava aur koi option nahi hya kya baby ka down syandrome pata lagane ke liye ? Jaise ki baby ke activities etc. Abhi baby 1.5 ka honewala hai 16 tarikh ko.
Dr.Priyanka Patel
Like
Reply
22 Jan 2021