Meri normal delivery ko 16 days ho gaye. Mere hubby ne meri fast recovery ke liye ajwain ke ladoo aur sonth ke ladoo banwaye. Problem ye hai ki isko khane ke baad garmi jyada lagti hai aur loose motions hote hain. Do din khane ke baad mujhse jyada to baby ko potty ho rahi. I m confused ki ye sab khau ya nahi??? Please help...
Sangeeta Rehan Khan
09 Nov 2017
0
Interested
5
Answers
0
Shares
Tanuja
Aap pehle dekho ki vo sahi me loose motions hn kya jo baby ko ho rahe hn..kyu 2 week ka baby din me kai bar potty krta h...ladoo toh ache hote hn .maine bi khaye hn..isiliye back pain thoda km h...
Like
Reply
09 Nov 2017
Durga salvi
Mere one n half month me khatm hue..N meri beti ko bhi loose motion ho gye; to kuch din Mene ladoo nahi khaye..
Like
Reply
09 Nov 2017
Sangeeta Rehan Khan
But mujhe bola gaya hai ki dono within 15 days me khatam hone chahiye
Like
Reply
09 Nov 2017
Sheeba Rizvi
Batteese ke laddu khaaye jaate hain sirf ajwain n sonth ke maine nahi suna....aap sweet shop se batteese ke laddu mangaiye bht healthy hote hain taaqat aati hai usmein khaane ka gond bhi hota hai jo garm cheez ko balance rakhta hai....maine dono kids ke time ye khaya hai
Like
Reply
09 Nov 2017
Durga salvi
Aap ladoo khao Par thoda thoda Mene bhi khaye..N liquid jyada loo..Ajwain n sonth garm hoti hai pahle ajwain ke ladoo khatm kro phir sonth ke..
Tanuja
Like
Reply
09 Nov 2017